Kavita · Ghazal · Shayari

Kavi Kehna Chahte Hain

❧
← Sab kavitaien

Kavita 08

Zaroori Toh Nahi

❧

Koi Ro-Ro Kar Apna Dard Sunata Hai,
Toh Koi Hans Kar Har Gham Chhupata Hai.

Kisi Ki Aankhon Se Dard Beh Jaata Hai,
Toh Koi Muskurakar Sab Seh Jaata Hai.

Koi Apna Haal Har Kisi Se Kehta Hai,
Toh Koi Khamoshi Mein Sab Kuch Sehta Hai.

Har Muskurata Chehra Khush Ho, Zaroori Toh Nahi,
Har Chup Rehne Wala Beparwah Ho, Zaroori Toh Nahi.

Kisi Ka Dard Aankhon Se Bayaan Hota Hai,
Toh Kisi Ka Dard Muskaan Mein Chhupa Hota Hai.

Dard Toh Dono Ke Dil Mein Rehta Hai,
Bas Koi Keh Deta Hai, Aur Koi Seh Leta Hai.