Kavita · Ghazal · Shayari

Kavi Kehna Chahte Hain

❧
← Sab kavitaien

Kavita 09

पवनपुत्र

❧

Pawan hai komal, pawan hai mahaan,
Na dikhe kisi ko, phir bhi ismein praan.
Kabhi phoolon ko chhoo kar muskaati hai,
Kabhi parvaton ka abhimaan mitaati hai.

Jiski sheetalta se jag jeevan paata hai,
Usi Pawan ka putra Bajrang kehlaata hai.
Jo swayam na dikhe, uski santaan ka bal dekho,
Ek baalak mein chhipa hua poora brahmand dekho.

Baalpan mein jisne Sooraj ko phal jaana,
Ek hi chhalaang mein aakash ko naap daala.
Jiske bal ke aage devta bhi jhuk jaate hain,
Jiske naam se bade-bade sankat mit jaate hain.

Na pankh lage, na kisi sahaare ki chaah,
Ram naam lekar bana li aakash mein raah.
Samundar bhi kaanpa, parvat bhi hil gaye,
Jab Pawanputra Lanka ki ore chal diye.

Jisne Lanka jalaayi, par bhakti na bhulai,
Jisne parvat uthaaya, par vinamrata na bhulaayi.
Jiske bal ke aage kaal bhi tharraata hai,
Wahi veer Shri Ram ke charnon mein sir jhukaata hai.

Pawan ko kamzor samajhne ki bhool mat karna,
Uski shaanti ko uska ant mat samajhna.
Jo deepak ki lau ko bhi dheere se hilaata hai,
Wahi Pawan apni god mein Hanuman ko khilaata hai.

Na Pawan ko roop chahiye, na bal ka pramaan,
Uski ek hi santaan ka naam hai HANUMAN